
नव वर्ष 2026 की हार्दिक शुभकामनाएँ ✨
“हमारे प्रभु और उद्धारकर्ता यीशु मसीह के अनुग्रह और ज्ञान में बढ़ते जाओ।”
— 2 पतरस 3:18
2026 आपके लिए आत्मिक वृद्धि, गहरे विश्वास, अनुशासन और उद्देश्य का वर्ष हो।
अनुग्रह में मजबूत बनें। चरित्र को निखारें। परमेश्वर की इच्छा में साहस से चलें।
उसी को अब और सदा महिमा मिले। आमीन।



mera naam hai bharti gedam mere bhaiki ek gawai hai .jo es naye saal me dena chahti hu .mera bhai abhi 42 saal ka hai jab ye 1 saal ka tha tab esako dusht atmane gher liya tab esaki tabiyat bahot kharab ho gai badme esako mummy papane 2 month hospital me rakha kuchh aaram nhi mila .esaki latrin ruk gai thi or uren ruk gai thi pet ful gaya tha ye bahot chhilla ta tha to doctor bole ham abhi thak gaye aap esako murti puza waloke paas leke jao hamare gaavke doctor ka naam manohar rao warjukar tha abhi wo nhi hai unki death ho gai .meri mummy doctor ko bola ki murti puza kya hai mai nhi janti .fir doctor nehi us murtipuza wale ka naam batataya hamare gaav ke paas hi wo gaav hai us gaavka naam chak hai .waha leke gaye to khule maidan me edhar udhar gol gol ghumta tha chillata tha usaka dard bahot hi bad gaya tha ki wo mummy or meri bua ko katata tha mere mummy papake gaalopar katata tha .fir unhone mere bhaike sharir ke upar se limbu utarkar Charo dishaome bhek diye .tab mera bhai shant ho gaya .1 month 7 din wo vaidya ke paas mere bhaiko lekar mummy bua rahe or badme latrin bathrum ho gai .fir gaav me aaye par mera bhai puri tarahse achha nhi hua tha .badme usako latrin ke dwara kide nikalne lage .tab mere papane wo murtipuza waleko bole ki or mere beteko problem hua .par badme unhone dhyan nhi diya .to fir mere bhaika dimag nhi chalta tha or baat karne jaata tha to latakata tha usaki jubanse awaj barabar nhi nikalti thi .tabhise mera bhai aisehi tha par jab ham prabhume aaye .saptember month me 2023 saal me tab church me jarahe the .thoda dimag achha hua or jab hame G C N TV ke bareme jankari mili tab ham 21 January 2023 me G C N TV sabha me judana chalu kiye or pastr soojin lee ke prathna or vachanse hi mere bhai ka mind achha hua or abhi baat karnekeliye latakta nhi achha ho gaya puri tarahse.mere bhai ne bahot hi pidaoka samna kiya jab 11 class me tha to college ghar ata tha to wo dinbhar bhahar nhi nikalta tha dhup me janekeliye darta tha 12 class me gaya or dusht atmane esako pagal bana biya thoda par papaki baate manta tha papako help bhi karta tha bizzness me badme bade bhaiki shadi ho gai to mera bada bhai or bhabhi nitesh bhaiko pareshan karte the paani bhar jhhadu laga mobile shoap pe ja nitesh bhai tab jhhadu lagata tha nal ka Pani bhi bharta tha or badme mobile shoap pe jaata tha or dopehar me khana khane ke liye ata tha to nitesh bhai ko bada bhai khana bhi achhese khane nhi deta tha .meri bhabhi nitesh bhaiko chori lagati thi mere papa nitesh bhaiko kapde lete the to bhabhi bolati thi mobile ke shoap se paise churata hai or kapde leta hai mujhe or mere bete ko bhi pareshan karte the mere papa rote the bahot tension liya mere bade bhaika bhabhika badme nitesh bhaiko papane or maine bola ki tu ghar chhodkar chala ja ye jine nhi dete .badme dusare din mera nitesh bhai nagpur chala gaya 10 rupaye the sirf mere bhaike paas mere mummy papane sab gharka karbhar bade bhaiko diya bade bhaine bhabhike hath me diya .badme nitesh bhai nagpur rote rote gaya mai mere papa rote the .ham sab akele akele ho gaye .nitesh bhai jab nagpur me rehne laga tab dusare ladko ke sath rehne laga wo ladke bhi nitesh bhaiko pareshan karne lage .mere bhaike kapde sab wo pehan te the esake chaddar bhi liye Mera bhai mat par sota tha 2014 ki baat hai ye badme wo ladko ke sath 2016 tak aaisahi chalta raha hame kuchh bhi nhi batata tha mera bhai nahi papako nahi mujhe gharke tension ke karan nagpur gaya or wo ladko ke pareshani ke karan mera bhai or mansikta me chala gaya usake gandhe kapde rehte the kyoki mere bhaike achhe kapde wo ladke pehan te the .mera bhai kaam pe jata tha catress ke .mere papako paise bhejta tha papokeliye kapde lata tha mere papa wo paisa mere beteko kharch karte the . fruits laate the namoke liye .badme papa ki death ho gai 2017 me tab mai nitesh bhaike room par gai or wo ladkoka bartav dekhakar mere bhaiki halat dekhkar mujhe mummy ko bahot dukhh hua badme mummy ne mere bhaiko dusari room karke di or Mai bhi waha job karne lagi tab mere nitesh bhai ko achha laga par usaki tabiyat bahot kharab hoti thi fir bhi mera bhai day night kaam karta tha usaki halat dekhi nhi jaati thi par room ka kiraya ghar khrcha namokeliye ham sabhike liye kaam karna jaruri tha wo pagal ke nasheme bhi mere bhaine mujhe mere bete ko mummy ko sambhala .mere bhaine bhi bahot pidaoko saha par aaj prabhune bahot ashish diya usako sabhi bimari ya bhi chali gai or mind bhi achha hai sab batose lekar prabhune ashish di aaj mera bhai logoko batata hai ki prabhune mujhe achha kiya .roj prathna karta rehta hai din bhar gadi chalaraha hota hai kaam par hota hai jaha kahi bhi wo prabhuka hi naam leta hai prabhu ne bahot hi bada chamtkar kiya hai mere bhaike jiwan me bhi prabhuki stuti ho Amen 🙏❤️🌹 ye gawai mere bhai nitesh dhok ki hai
Praise The Lord .aap sabhiko naye saal ki hardik shubhkamanaye . Happy New Year 2026 .hamare prabhu udhharkarta yeshu masih ke naam me ham sabhi bhai or behan aage badte jaaye .2026 me ham sabhi aatmik unnati kare . parmeshwar ka prem usaka anugrah usaki shanti or pavitr atmaki bharpuri ham sabhipar bani rahe Amen 🙏❤️🌹
Jai Masih ki happy new year ap sbhi ko aiye ham sab is sal prabhu isu Mashi me yek jut hoyae apne hirday ko aur bhi achcha kar sake is sal me jab pita aur prbhu ka prem anugrah aur pavitr atma hamare sath ho to sari chije asmbhv se sambhav ho jati hai pita 2026 me ham apne hirday ko behtar kar ske dhanyawad pita permeshwar 🌈❤️🙏🏻 dhanyawad pastor ji
Happy new year 2026
Praise the lord🙏